Saturday, April 19, 2008

from my pen.........

I hv written my share of really crappy Shayaris... these are a few which I considered decent enough to post... :


Khoya khoya chand,
....aaj yeh talaash kyun hai...?
badaloon mein ghum kahi,
....aaj yeh ruswai kyun hai...?
yun toh kai tare hai aasman mein,
par ae chand -
...tere bina, aaj yeh tanhai kyun hai...?

x..........................................................................................x

haat kyun choda tumne...
jab saath chalna tumne sikhaya...
kyun na ruke tum...
jab intezaar karna tumne sikhaya...
muh kyun mod liya aaj...
jab aankhon mein dekhna tumne sikhaya...
mujhe dekh kyun murjha gaye tum...
jab muskurana bhi mujhe tumne sikhaya...........

x........................................................................................x

Aaj mehfil mein jaam hai...
kal sanaata hoga...
aaj hamare lafzo par wah-wahi hai...
kal hamara janaza hoga...
aaj log has rahe hai hamari deewangi...
yaad rakhna hame...
kal ranjha-majnu nahi...
hamari deewangi ka fasana hoga......

x........................................................................................x

pyaar mein dil lut te hai...
...hum jahan luta baithe hai...
umeed ke chirag se...
...hum ghar jalaye baithe hai...
mat dalo mitti meri kabr par...
...hum abhi unke aane ki aas lagaye baithe hai...

x.......................................................................................x

Hame is tereh badalne ke liye...shukriya...
woh jhalak, woh muskurahat ke liye...shukriya...
aap ke saath har lamhe ke liye...shukriya...
aap ka saath nahi na sahi...
zindagi main humse milne ke liye...shukriya...

x.......................................................................................x





No comments: