PS: This is my attempt bcoz of my love for hindi / urdu poetry, one of our greatest cultural heritage... I loved writing it.. motivated by a 'Thumri - Aane do' (only one i have ever heard, excellent classical singing) after searching it for 2 yrs and listening to it for 3 hours :D ..
u have to feel the hopelessness from the point of a heart broken sad guy addicted to drinking now ( u call him randomly as devdas!) then u will understand the depth of hindi/urdu words..
some meanings : saaki - eg chrandmukhi in devdas, maikhana - whrs drinks r served :

thodi daer aur... ae Saaki...
ek aur jaam abhi... pene toh do...
in ladakhte pairo ko galat na samajh...
ek bar is dil ko fir se... sambhalne toh do...
ae Saaki...
ek aur jaam abhi... pene toh do...
mohabbat ki shama jalayi thi...
ab ek lau mein... is gam ko... pighalne toh do...
abhi jane na do... jaam baki hai...
ek nashe se kisi nashe ko... fir dhundne toh do...
ae Saaki...
ek aur jaam abhi... pene toh do...
in ghoongruon ki awaaz mein...
nam aankhon ke khwab ko... fir se jine toh do...
fir se mahakte chaman mein... jana nahi...
kaanto ke bistar par... ek bar chain ki neend... sone toh do...
ae Saaki...
ek aur jaam abhi... pene toh do...
kisi makkaan mein mera guzaara nahi... ae Saaki...
is maikhane mein... mujhe fir se... aane toh do...
is sharabi pe ek bar taras kha...
meri haseen nazneen ki yaadein... fir se sajane toh do...
yeh shaam abhi baki hai...
Ae Saaki...
ek aur jaam abhi... pene toh do...
PS: Do comment guyz, its vry encouraging !!